Xiaomi Mint Browser | Xiaomi ka Mint Browser Ab Play Store Par Available Ho Gaya Hai, Xiaomi Mint browser Review In hindi
Hi dosto khabar mili hai k xiaomi ne apna Mint Browser ko play store pe release kr diyaa hai jiske bare me hum apko aaj jankari denge.Xiaomi mint browser review in Hindi |
Ye browser ka lightweight version hai jo MIUI me aayega isko chalaane k liye 4.4 android version ka mobile hona zaroori hai. Isme apko download size, Install size, memory usage dekhne ko milega or iske andar night mode bhi shamil haii. Is brwoser me Data saver mode bhi diya hai, Ad blocker isme nhi haii jo ke ek popular feature hai har browser ka. Apko isme sirf 3 search engines milega Yahoo, Google or Bing ko ye khud surfing ke liye istemal krta hai. Agar apko kuch istemal krna hai jaise ke DuckDuckGo to apko ise as a default start page set krna padega.
Mint browser me night mode bhi hai jo ke pages ko dark bnaa deta haii or ye kaafi acha tarike se humari aankho pe padne waali blue light ka dhyaan rakhte hue bnaya gaya hai. Ye browser bohot ache se kaam karta hai magar kuch site shayad kaam naa kare. Night mode me chalaate agar bichme koi site ne load le liya to ye normal light me ajata hai or jab site full tarike se load ho jati hai to autimatic ye dark mode pe ajata hai jiski wajh se apko baar baar bright light ka samna karna padega..
Xiaomi mint browser ki sabse achi baat ye hai ke isme faltu ki ads, notifications, abnoxious promoted content or start page pe aane waale hazaaro promoted sites or bookmarks nahi haii. yani aap block unblock kr payenge.
Ye play store pe abailable hai ap ise download kar skte hai
Click here to Download
To dosto aise hi latest updates paane ke liye humaare sath duniya ka hal chal jaan ne ke liye asianhindi.com ko follow krna na bhule dhanyawad.
No comments:
Post a Comment