Glamour bike itna kyu bika ? | Full Specs of glamour bike janiye Hindi me! - Asian Hindi

Breaking

Daily Updates Hindi me! AsianHindi site par Technology, Entertainment, Sports, politics aur bhi duniya bhar ke khabar milenge. Asian Hindi Website par Asian ke har updates hindi me diye jate hai

Post Top Ad

Sunday, January 13, 2019

Glamour bike itna kyu bika ? | Full Specs of glamour bike janiye Hindi me!




Glamour bike itna kyu bika ? | Full Specs of glamour bike janiye Hindi me!

Dosto ek baar phir see aapka swagat hai Asianhindi.com pe. Mai asha karta hu aap sab acche hi honge. Aaj mai aapko glamour bike ke baare mai batane jaa raha hu ki aakhir glamour bike itna kyu bik raha hai.

Glamour bike ke baare mai to aapko to pata hi hoga. Yeh hero company ki bike hai or yeh logo mai bhut tezzi se famous ho rahi hai log khass kar glamour bike ko uske desing or look ki vaj se pasand kar rahe hai or isliye yeh market mai bhut tezzi se bik raha hai.
Third party image reference

Specifications of glamour bike 

Agar bike ki specifications ki baat kare yeh hero company ki bike hai. Glamour two wheeler bike hai glamour mai 125Cc ka powerful engine laga hua hai. Iska desing bhut hi ankokha hai jo ki ek stylish bike ki tarah lgta hai. Glamour bike ke aapko do variant milenge jise mai se ek variant disk brake ke saath hai or doosra drum brake ke saath market mai available hai. Front mai glamour bike ke ek bada sa V shaped headlight lagaya gya jo ki glamour bike ke style ko or bhi jada nikharta hai. Isliye glamour bike itna bik raha hai




Glamour bike ki average yaani ki mileage ki baat kare ki yeh 60 se lekar 86 kilometre par litre ki mileage dega. Glamour bike ki body pe double tone yaani ki red or black colour ka graphic design diya gaya hai. Jo ki dekhne mai bhut badia lagta hai. Glamour bike mai jo glamor logo ka design hai vo bhi dekhne mai kaffi had tak ek sports bike ki tarah lagta hai. 

Glamour bike ke power ki baat kre to isme 9 se lekar 11.4 bhp tak hai. Aapko to pta hi hoga aaj kal jaise - jaise new bikes market mai aa rahi hai vaise-vaise un bikes ki efficiency ko increase karne ke liye bikes ke weight ko kam kiya ja raha hai. Isliye glamour ke bike ka weight bhi bhut kam hai. Is bike ka weight 129 kg hai. Isi karan glamour bike logo ki pasand banta ja raha hai or bhut tezzi se bik bhi raha hai.

Quick facts:

  • Abitak glamour bike ka 3 models launch ho chuka hai
  • Sold : 6 Million se jyda Unit bika 2017 tak
  • Teacher Logono is bike ko kafi pasand kiya
  • yeh bhi ek fact he ki Is bike jab launch hua hai tab India me bahut new teachers jobs mila tha jiske wajah se Glamour bike itna bika.

Key features of glamour bike



Average : 60 to 80 kmpl

Power : 9 to 11.4 bhp

Weight : 129 kg 

Engine : 125 Cc

Price of glamour bike 

Glamour bike ka price india mai 54,400 hai jo ki iske drum brake vale variant ka hai or glamour ke disk brake vaale variant ka price 59,400 hai. Joo ki ek kmaal ki baat hai iski kam pricing ke karan aaj ki Market mai glamour bike bhut zada bik raha hai.

Yeh thi glamour bike ko lekar aaj ki updates Glamour bike itna kyu bika ? | Full Specs of glamour bike janiye mai ummed karta hu yeh jaankari aapko pasand aayi hogi.

Aise hi bike related technologies aur Duniya ki hal chal pane ke liye Asianhindi.com ko follow kare or saath hi saath hamara Facebook page bhi like kare. Is post ko apne dosto ke saath share jarror kare taki unhe bhi pata chale Glamour bike itna kyu bika, aur Glamour bike ke specifications bhi. Thank you.



No comments:

Post a Comment