Mi Note 5 pro vs Mi note 6 pro price, specs, performance - Asian Hindi

Breaking

Daily Updates Hindi me! AsianHindi site par Technology, Entertainment, Sports, politics aur bhi duniya bhar ke khabar milenge. Asian Hindi Website par Asian ke har updates hindi me diye jate hai

Post Top Ad

Tuesday, January 8, 2019

Mi Note 5 pro vs Mi note 6 pro price, specs, performance

Redmi note 5 pro vs Redmi note 6 pro | price, specifications

Dosto ek baar phir se aapka swagat hai Asianhindi.com pe asha karta hu ki aap sab ache hii honge. Aaj mai aapko Mi ka Note 5 pro vs Note 6 pro smartphones ke difference ke baare mai batane ja raha hu. Asha karta hu ki aapko yeh jaankari pasand ayegi or abhi tak aapne asianHindi ko follow nahi kiya to follow kar le or Facebook page bhi like kar le aur bhi latest updates paane ke liye.

Redmi ke phones ke baare mai aap sabhi ne suna hi hoga or bhut se log redmi ke brand ke phone ko use karte hi honge mai khud Redmi ke note 5 pro phone ko use karta hu or yeh phone redmi ke sabse best phones mai se ek hai.
Third-party image reference
Haal hi mai redmi ne apna ek or smartphone launch kiya tha jiska naam redmi note 6 pro hai. Yeh phone redmi ke purane phone yaani ki redmi note 5 pro ka successor mana jaata hai. But agar mai aapne experience ki baat karu too redmi note 5 pro apne price range ke hisaab se ek bhut hi accha budget phone hai vahi agar mai redmi note 6 pro ki baat karu to yeh bhi ek budget phone hai. Par agar aapke pass redmi ka note 5 pro hai to mai aapko suggest nahi karoga ki aap redmi note 6 pro Phone le, kyuki redmi note 6 pro mai notch or dual front facing camera ko chod ke baaki almost sab kuch same hi hai.


Redmi note 5 pro 

Agar baat kare redmi note 5 pro ki to yeh redmi ka aaj tak ka sabse jada bikne vala Phone mana jata hai. hum sabhi ne TV pe kaafi ads bhi dekhi hongi redmi note 5 pro ki. Too aaye jaante hai ki kya hai is phone ke feature or kya hai is ki specifications.


Specifications of Redmi note 5 pro

Redmi note 5 pro mai aapko 5.99 inches ka full hd display milta hai. Redmi note 5 pro mai aapko 20 MP ka front camera milta hai or jis mai front flash bhi available hai. Redmi note 5 pro mai aapko 4000 MAh ki long lasting battery milti hai or ye quick charge 2.0 zero ko support karti hai jis se redmi note 5 pro bhut tezzi see charge hoga. Redmi note 5 pro mai back mai 12+5 MP ke doo rear camera milte hai 5 MP camera depth sensor ka kaam krega. Redmi note 5 pro mai aapko face unlock or fringerprint sensor dono ka support milta hai. Jo ki bhut achhi baat hai. Redmi note 5 pro ka resolution 1080×2160p hai. Redmi note 5 pro mai apko 64gb in-built storage or 4Gb RAM milti hai. Iska ek aur variant hai jo 6 Gb RAM or 64 gb storage ke sath market mai available hai. Yeh operating system android 7.0 nougat ke saath market mai aaya tha or yeh upgradeable bhi hai 8.0 oreo mai.

Key specs of Redmi note 5 pro

Display - 5.99 inches full HD display

Processor -  Qualm-comm snapdragon 636 octa-core

RAM - 4 GB

Battery - 4000 mAh

Resolution - 1080 × 2160 Pixels

Front camera - 20 MP with front flash

Back camera - 12 +5 MP camera 5 MP camera is used for depth sensing

Internal storage - 64 Gb

Operating system - 7.0 upgrade able to 8.0

Price of redmi note 5 pro 

Redmi note 5 pro ka price 14,999 yeh 4Gb RAM or 64 gb variant ki thi par ab redmi note 5 pro ka price kam ho kar 13,999  ho gya hai redmi note 5 pro ke 6gb RAM ke variant ka price 15,999 rupess hai.


Redmi note 6 pro

Redmi note 6 pro mai jada features nahi hai yeh same hai redmi note 5 ki tarah hi. Bas redmi note 6 pro mai do new cheeze add ki gayi hai. Jo ki front mai ek secondary camera lgaya gya hai jo protrait mode ke kaam aayega. Or display mai aapko ek notch vala design dekhne ko milta hai.


Third-party image reference

Specifications of redmi note 6 pro

Redmi note 6 pro mai aapko 64 gb in-buit storage or 4Gb ram ke sath market mai available hai. Isme full HD display ka use kiya gya hai jiska resolution 1080×2160p hai. Redmi note 6 pro mai 4000 MAh ki long lasting battery or quick charge 3.0 ka support bhi mil jaata hai. Redmi note 6 pro mai aapko display mai ek notch design milta hai jo ki redmi note 5 pro mai nahi hai. Redmi note 6 pro mai aapko front mai 20+2 MP ka camera milta hai jo ek apne aap mai ek kaamal baat hai. Par aapko is phone mai front flash nahi milti hai. Redmi note 6 pro mai back mai 12+5 MP ka camera milta hai jo ki redmi note 5 pro mi bhi aapko mil jayega. Yeh phone 8.0 android ke latest operating system pe kaam karta hai.


Key specs of Redmi 6 pro

Display - 6.24 inches full HD display

Processor -  Qualmcomm snapdragon 636 octa-core

RAM - 4 GB

Battery - 4000 mAh

Resolution - 1080×2160 pixels

Front camera - 20+2 MP

Back camera - 12+2 MP

Internal storage - 64 GB

Operating system - 8.0 oreo

Price of redmi note 6 pro 

Redmi note 6 pro ke price ki baat kare to yeh market mai 13,999 ruppess mai available jo ki same hai redmi note 5 pro ki actual price se.

Maine apna personal experience aapse share kiya hai or mai aapko ek tip dena chahta hu agar aapke pass redmi note 5 pro hai to aap redmi note 6 pro na le kyuki redmi note 6 pro or redmi note 5 pro mai koi jada major difference nahi hai. Or agar aap new phone lene ki soch rahe hai to redmi note 6 pro aap le sakte hai

Mai asha karta hu aapko yeh jaankari pasand aayi hogi. Meri post ko parne ke liye aapkaa bhut bhut Dhayanavad.

No comments:

Post a Comment