Realme U1 vs Honor 10 lite comparison in Hindi | price, specifications
Hello dosto kaise ho aap sab. ek baar phir se swagat hai Asianhindi.com pe. Aaj mai aapko realmi U1 or honor 10 lite ka difference btana ja raha hu mai asha karta hu aapko yeh jaankari pasand ayegi.
Realmi ke bare mai to hum sabhi jaante hi hai realmi ne apna market mai phele phone 2018 mai mai lauch kiya tha or dheere dheere realmi ne bhut hi kam time mai mai Indian market mai apan jhanda gar diya hai.
Specifications of realme U1
Realmi U1 mai aapko 6.3 inches ka full HD display milta hai jisme apko ek water drop style notch dekhne ko milta hai or iski display ka resolution 1080×2340 pixels hai. Realmi U1 mai aapko 32 GB ki internal storage milti hai or saath mai 3 GB ki RAM millti hai or yeh android ke operating system 8.0 oreo pe kaam karta hai. Realmi U1 mai mediatek helio P70 ke octa-core processor ka use kiya gya hai. Realmi U1 mai 3500 mAh ki battery di gayi hai. Realmi U1 mai aapko back mai 13+2 MP ke camera milte hai. Is phone ke front mai 20 MP ka front camera hai or sath mai LED flash bhi di gayi hai. Realmi U1 mai aapko sabhi types ke sensors face unlock, fingerprint sensor, light sensors or sabhi tarah ke sensors is phone mai available hai.
Key specifications of Realme U1
Display : 6.3 Inch full HD display
Resolution : 1080×2340
Front camera : 20MP
Back camera : 13+2 MP
Operating system : 8.0 oreo
Processor : Mediatek helio P70 octa-core processor
RAM : 3 GB
Storage : 32 GB
Battery : 3500 mAh
Price of Realme U1
Realmi U1 ka price 11,999 jo ki iski 3 GB RAM or 32 GB storage vale variant ke liye hai. Iske 4 GB RAM or 64 GB storage vale variant ka price 14,499 rupees hai indian market mai.
Honor 10 lite specifications
Honor 10 lite mai 6.21 inches ka full hd plus water drop style notch vala display diya gya hai. Honour 10 lite ke display ka resolution 1080x2340 pixels hai. Honour 10 lite android ke latest version android pie yaani ki 9.0 pe kaam karta hai. Honor 10 lite mai kirin 710 octa-core processor ka use kiya gya hai. Jiski clock speed 2.2 Ghz hai. Honor 10 lite ke 4GB RAM or 6GB RAM ke doo variant market mai available hai.
Camera setup ki baat kre to honour 10 lite mai aapko doo rear camera milte hai jin mai se ek 13 MP ka or doosra 2 MP ka hai. Honor 10 lite ke front mai 24 MP ka camera diya gya hai. Agar honor 10 lite ke internal storage ki baat kre to is phone mai aapko 64GB ki in-built storage milti hai jo ki bhut acchi baat hai. Honor 10 lite mai aapko dual volte ka support bhi milta hai. Honor 10 lite ki battery 3400 mAh ki di gayi hai jo apni price range ke hisaab se itni badia nahi hai. Honor 10 lite ke phone ka weight 162 gram hai.
Key specs of Honor 10 lite
Display : 6.21 inches full hd plusResolution : 1080×2340 pixelsProcessor : kirin 710 octa-coreRAM : 4GBBattery : 3400 mAhOS : Android pie 9.0Front camera : 24 MPBack camera : 13+2 MPStorage : 64 GB
Price of honor 10 lite
Honor 10 lite ka price 14.,400 rupees hai jo ki iske 4GB RAM or 64GB storage vale variant ke liye hai.
6GB RAM 64GB storage vale variant ka price 17,500 hai or 6GB RAM or 128 GB storage vale variant ka price 19,500 hai.
No comments:
Post a Comment