Hello dosto ek Baar phir se aapka swagat hai Asianhindi.com pe. Mai aasha krta hu aap sab accha hi honge. Aaj mai aapko snapdragon ke new upcoming processor ke baare mai btaane ja raha hu.
Vaise to aap sab ko pata hi hoga snapdragon 710 ke baare mai par is baar Qualmcomm ne marketing mai apna new processor lauch kar diya hai jiska naam sanpdragon 712 hai haala ki yeh processor aapne pichle processor or yaani ki snapdragon 710 se 10% faster bataya gya hai par humko isme koi jada major difference dekhne ko nahi milta hai hai.
Agar baat snapdragon 710 ki kare to yeh 10 nano meter par based hai is mai total 8 cores hai jiski clock speed 2.2 GHz hai. Sanpdragon 710 mai hum ko jo GPU dekhne ko milta hai vo Qualmcomm ka adreno 616 hai jisme aapko 800 megabits per second ki download speed milti hai or 150 megabits per second ki upload speed milti hai. 20 mega ke dual rear camera or 32 mega pixel ka single camera ka support is snapdragon 710 mai aapko dekhne ko milta hai. Yeh processor quick charge 4 ko support karta hai.
Agar baat snapdragon 712 ki kare to jada difference nahi snapdragon 710 se bhut hi minor se changes kiye gaye hai. Bataya ja raha hai snapdragon 712 anpe purane processor ke comparison mai 10% faster bataya gaya hai jo ki sahi bhi hai par kuch khass changes nahi hai.
Snapdragon 712 bhi 10 nano meter par based hai or iski bhi 8 cores hai jinki clock speed thodi si increase ki gayi hai jo 2.3 Ghz hai jis se aapko point one ka advantage mil jaata hai comparing to 710 Or saath hi saath snapdragon 712 quick charge 4+ ko support karta hai. Baaki almost same hi as compared to snapdragon 710.
Baaki aagar mai aapne opinion ki baat karu to muke ismai kuch jada major difference dekhne ko mila nahi par kuch kuch jagah pe hum processor 712 bazzi marta hu dikhae deta hai 710 se.
To yeh thi kuch aaj ki updates snapdragon 712 ke baare mai. Mai asha karta hu aapko yeh jaankari achi lgai hogi Aise hi latest technology or film jagat ki chatpati kabhro ke liye Asianhindi.com follow kare or sath Facebook page bhi like kare. Thanks you
No comments:
Post a Comment