Meizu Note 9 launched, Specifications and price
Meizu ne bhi aapne ek or Phone market mai lauch kar diya haala hai. Jiska naam meizu note 9 hai. Yeh phone aapne purane phone meizu note 8 ka successor bataya ja raha hai. Agar specifications ki baat kare to almost same hai redmi ke note 7 se jo ki abhi haal hi mai launch hua hai. To aaeye Meizu note 9 ki specifications ko thora detail mai jaante hai.
Third party image reference |
Meizu Note 9 Specifications
Meizu note 9 mai 6.2-inch IPS LCD with Full HD+resolution vala display diya gaya hai. Meizu note 9 mai snapdragon 675 octa-core processor diya gaya jo ki redmi note 7 pro mai bhi hai. RAM or storage ke hisaab se dekhe to yeh three variant ke saath aata hai jo ki 4/64 GB, 6/64 GB or last mai 4/128 GB storage capacity ke saath aata hai.
Phone ke cameras ki baat kare to isme aapko 48+5 MP ke two rear camera milte hai or yeh redmi note 7 or 7 pro ke baad doosra phone hai jisme mai 48 megapixel ka camera diya gay hai isme aapko night mode ka option bhi milta hai jo ki low light mai photos capture karne ke liye ek badia option hai. Front camera ki baat kare to isme aapko 20 mega pixel ka camera milta hai.
Yeh to ho gayi phone ki specifications aab baat karte iske battery backup ke baare mai. Meizu note 9 mai 4000 mAh ki long lasting battery di gayi hai. Jo ki 18 watt tak ki fast charging ko support karti hai or charging ke liyee yaha pe Type C port diya gaya hai jo ki bhut achi baat hai. Meizu note 9 mai theek camera ke neeche aapko fingerprint sensor bhi mil jaata hai.

Price and lauch of meizu note 9
yeh phone filhaal china mai launch ho chuka hai or iske jo sale shuru hogi vo 11 march se hogi or price ki baat kare yeh three variant mai available hai 4/64 GB ka price CNY 1,398 hai. 6/64 GB or 4/128 GB ka price same hi hai jo ki CNY 1,598 hai. Yeh three colours mai available hai jo ki Starry Blue, Dark Black Ochre, and Silver Ochre hai.
Key specifications
Display : 6.2-inch IPS LCD with Full HD+ resolution
Storage : 64/128 GB
RAM : 4/6 GB
Processor : snapdragon 675 octa-core
Operating system : android pie 9.0
Front camera : 20 MP
Back camera : 48+5 MP
Battery : 4000 MAh
To yeh thi kuch updates about meizu note 9 ke baare mai.Mai asha karta hu aapko yeh jaankari achhi lagi hogi.
Aise hi technology related,romanchak movies or chatpati kabhro ke liye kon follow kare or sath Facebook page bhi like kre. Thank you
No comments:
Post a Comment