Tik tok banned in India | Playstore se hua Remove tiktok Puri jankari - Asian Hindi

Breaking

Daily Updates Hindi me! AsianHindi site par Technology, Entertainment, Sports, politics aur bhi duniya bhar ke khabar milenge. Asian Hindi Website par Asian ke har updates hindi me diye jate hai

Post Top Ad

Wednesday, April 17, 2019

Tik tok banned in India | Playstore se hua Remove tiktok Puri jankari

Tik tok banned in India | Playstore se hua Remove tiktok Puri jankari

Vaise aap sab jaante hi honge tiktok app ke baare yeh ek bahut hi famous application hai jo ek lips singing application hai bahut se logo ne is pe aapni acting ka bahut hi kamaal ka pradarshan kiya hai par aab haal hi mai yeh khabar aayi hai ki tiktok ko india mai banned kar diya gaya hai. 

Halaa ki madras court mai is baare mai bahut time se baat chal rahi thi to abb isko india ki government ne bhi banned kar diya. 

Kuch dino Pehle indian supreme court ne tiktok jo ki ek Chinese company hai isko ek notice jaari kiya hai jisme yeh likha tha ki tiktok ki is aop ko google play store or IOs app store se hata diya jaye. Supreme court ke order ke anusar Google ne is application ko play store se hata diya gaya hai jabki apple ke app store mai yeh aab bhi show ho raha hai jo ki jald hi hata diya jayega.

Vaise tiktok ko hatane ki khass vajh yeh thi ki yeh chote baccho pe bura assr daal raha tha or jo vo content dekh rahe the vo bhi inappropriate tha isiliye india ki government ne is baar ko observe kiya hai or is liye is tiktok app ko india mai banned kar diya gaya hai.


Vaise aapko kya lagta hai ki yeh app google se remove ho gaya hai to kya log iska use karna band kar denge ?.

To iska jawab hai bilkul nhai kyu ki android phone mai iski apk file download ki jaa sakti bahut si websites se.Or jinke phones mai yeh app hai vo isko easily use aa kar sakte hai. Abb Tiktok ke jo stars hai jinki fan following bahut jyda to unka kyu hoga.

To aapko yeh bata de ki tiktok to filhaal ek notice jaari hua hai yeh complete banned nahi hua hai. Tiktok aapni policy mai changes la ke kuch strict rules apply karega jisko indian government ko Unallow nahi kar sakti.

To yeh thi kuch aaj ki updates tiktok ke baare mai. I hope aapko yeh jaankari pasand aai hogi.

Aise hi movies updates or technology related chatpati kbabro ke liye  Asian Hindi ko follow kare or sath Facebook page bhi like kare. Thanks you

2 comments: