Honor 9N Vs Asus Zenfone max M2 which is best under 8000 - Asian Hindi

Breaking

Daily Updates Hindi me! AsianHindi site par Technology, Entertainment, Sports, politics aur bhi duniya bhar ke khabar milenge. Asian Hindi Website par Asian ke har updates hindi me diye jate hai

Post Top Ad

Wednesday, April 3, 2019

Honor 9N Vs Asus Zenfone max M2 which is best under 8000


Hey Dosto, Agar ap soch rahe hai 8000 ke andar smartphone kharidne ke liye aur apka budget 8k hi hai toh apko yeh comparison bahut accha lagega Honor 9n aur Asus Zenfone max M2 yeh dono phone mein se koyi bhi ek le sakte ho 8000 rupees ke segment par.

Uske pehle ap is post ko end tak read kijiye apko confuse durr hoga ki kounsa lena cahiye Honor 9N ya Asus zenfone max m2.

Smartphone market par apko 8000 rupees ke andar dher sare models mil jayega par mein khud yeh do models istemal kiya toh muje best smartphone laga is kimat main. Aiye sabse pehle dono mobile ki ek ek karke kimat aur specification jante hai. 



Asus Zenfone Max M2 full khasiyat


M2 phone mein 6.26 inch HD+ 1520 x 720 pixels display hai jisme 2.5D Glass hai, Notch Panel bhi hai aur 19:9 Aspect Ratio diya hai, Storage aur ram ki bat kare toh 8000 rupees wale pe 3GB RAM 32GB Internal storage hai. Max m2 mein Rear dual camera hai 13MP ka ek sensor hai +2MP ka ek bluer sensor diya gaya hai. Selfie aur video calling ke liye 8MP ka front camera diya hai.

Asus Zenfone max m2 phone ki performance aur chip set hai Qualcomm snapdragon 632 octa core processor hai, 1.8 GHz clock speed milta hai Is phone mein Android 8.1 OS diya gaya hai M2 phone ka UI bhi Original android ka interface milta hai.


Is phone ka video recording apko 4K, 1080p, 720p resolution milta hai, full HD mein video record kar sakte hai. front aur rear dono side single LED flash bhi hai.

Battery ki bat kare toh asus zenfone max m2 phone me 4000 mAh ki non removal battery hai jiska battery backup kafi accha hai.

Asus Zenfone max m2 ki colours aur price ki bat kare toh
Is phone 3 clours mein uplabd hai Black, blue aur silver. M2 phone ko ap Flipkart se kharid sakte hai 3GB RAM 32Gb storage ka 7,999/- rupees hai. is phone ka 4Gb RAM, 64GB storage ka varriant bhi hai jiska price abi flipkart par 9,999/- rupees hai.

Honor 9N full specifications



Honor 9N mein 5.84 inches 2280x1080 Pixels Full View notch wala TFT-LCD display diya gaya hai Jiska Colors 16.7M hai, Multi touch Technology istemal ki hai. Is phone me Kirin 659 Octa core processor milta hai. Iska primary clock speed 2.36GHz secondary clock speed 1.7 GHz. Hono 9N me front par 16MP, Rear 13MP+2MP camera diya gaya hai.

Honor 9N phone me OS Android 8.0 aur EMUI 8.0.0 running hai. Is phone me 3000mAh battery, Dual sim card diya gaya hai. Storage ki bat kare toh yeh phone apko 2 variant me milega 3GB RAM 32GB internal, 4GB RAM 64GB internal. Id phone me Fingerprint back panal me milta hai. Or isme faceunlock bhi diya gaya hai.

Honor 9 N ki colours aur price ki bat kare toh

Is phone bhi 3 variant par available hai 3GB RAM, 64GB storage wale 8,999 rupees hai, aur 4GB RAM, 64GB wale 9,999 rupees hai. iska 128GB storage 4GB RAM wale 17,500 ke aas paas hai.
Honor 9n four colour ki available hai Black, purple, egg blue, sapphire blue.

Note : Yeh dono models phone ki price kam jyda hote rehta hai

Kounsa best hoga Honor 9n ya Asus max m2

Wese me dosto yeh dono phone hi best hai firbhi apko dono phone ki kamiya aur acchi bat bata deta hu jisse apke purpose ke anusar apko perfect lage woh le sakte hai. Agar apko display size badha cahiye toh Asus Zenfone max m2 le sakte ho isme 6.26 inch display hai jo ki honor 9n me 5.84 inch diya gaya hai. Resolution ke bat kare toh is mamle me honor 9n mein accha hai agar apko screen size badha jarurt nahi hai toh ap honor 9n le sakte hai kyu ki isme 1080 P resolution diya gaya hai jaha pe Asus max m2 par 720 p diya hai toh mere khayal se Display quality ke mamle me Honor 9N thoda jyda accha hai.



Battery backup honor 9n vs Asus zenfone max m 2

Agar ap PUBG game khelne ke liye mobile lena hai ya fir apko battery backup jyda dene wala cahiye toh apko mein reccommend karunga Asus Zenfone max m2 kyu ki isme apko 4000 mAh ki battery milti hai jaha pe honor 9n mein sirf 3000 mAh diya hai is mamle me honor 9N ka yeh buri bat hai.

wese agar apko lage muje itna battery backup ki jarurt nahi hai aur screen size bhi chote se cahiye aur mobile ka looks bhi kafi jabadasr cahiye toh ap honor 9n le sakte hai iska jo design hai voh muje kafi pasand aya so ap isko dekh sakte hai.

User interface, OS Honor 9n vs max m2
Agar ap OS ke upar mobile choice karna cahte hai kuch logoka Android ka default function accha lagti hai toh agar ap bhi unme se ek hai toh Asus zenfone max m2 le lijiye kyu ki isme pure android dikhne ko milta hai. jo ki honor 9n par EMUI ka OS chalta hai powered by android chalte hai matlab isme apko UI android ka nehi dikhay dega isme honor ka khudka user interface diya gaya hai.


Camera ? Honor 9n vs Asus max m2

Agar ap bhi mera jaisa ek selfie addiction hai toh apko yeh dono phone lene se pehle camera ki jankari hona cahiye agar apko selfie se koyi matlab nahi toh Asus max m2 le sakte ho ispar selfie camera 8MP diya hai rear 13+2MP, jaha pe honor 9n mein selfie par 16MP ka selfie camera diya gaya hai aur 13+2 MP rear camera. toh mere hisab se camera ke liye honor 9n jyda accha rahega.

Final word :
Apko kounsa phone jyda accha laga niche comment karke jarur bataye. Boss muje ummed hai apko puri jankari mil gaya Honor 9n vs asus zenfone max m2 ke comparison ke bare me. post accha lage toh share jarur kare Dhanyawaad.

1 comment: