Hi doston Honor 20i launch ho chuka hai to aayiye jaante hai Honor 20i ke Full specifications ke sath Honor 20i ke key specificatoins. Agar aap bhi Honor Lover hai to Ye post apke liye kaafi zada helpful hai kyunki Honor ne 18 June ko hi apna new Model India me Honor 20i Ke naam se launch kiyaa hai.
Bataya jaa rhaa hai ke isme camera quality, Display Quality aur performance bahut hi zada achha hai to chaliye jaante hai details me.
Display Quality of Honor 20i
Is mobile me 6.21 inches ki display dekhne ko mil jaati hai jo ke IPS LCD display hai.Iska screen resolution 1080×2340 pixels hai aur screen density 415 ppi hai. Honor 20i ka weight 164 grams ka hai aur ye black colour me available hai.
Is mobile me 6.21 inches ki display dekhne ko mil jaati hai jo ke IPS LCD display hai.Iska screen resolution 1080×2340 pixels hai aur screen density 415 ppi hai. Honor 20i ka weight 164 grams ka hai aur ye black colour me available hai.
Camera Quality of Honor 20i
Honor 20i ka main camera 24 MP + 8MP +2MP ka Triple Primary camera with LED flash ke sath aata hai. Aur Front camera 32MP ka hai with LED flash. Back yane main camera me Continuos Shooting, High Dynamic Range mode (HDR) Shooting modes availabe hai.
Performance of Honor 20i
Honor 20i me HiSilicon Kirin 710 chipset aur Processor Octa core (2.2 GHz, Quad core, Cortex A73 + 1.7 GHz, Quad core, Cortex A53) shamil hai.
Storage Capacity of Honor 20i
Honor 20i is mobile me 128 GB ki internal strorage hai jisko 512 GB tak expand kiyaa jaa sakta hai. Aur RAM ki baat ki jaaye to isme hume 4GB RAM dekhne ko mil jaati hai. Ye mobile USB OTG support karta hai.
Battery Life of Honor 20i
Honor 20i ki battery capacity 3400 mAh ki hai jo ke quick charge support nhi karti hai. Iski Battery ka Type Li-polymer hai
Special Features Of Honor 20i
Is mobile me Fingerprint sensor available hai aur isme Light sensor, Proximity sensor, Accelerator, Compass jaise special features bhi available hai
Price of Honor 20i
Honor 20i ki price 14,999 Hai aur flipkart par available hai
To doston ye the Honor 20i se jude important features & key specifications. Aasha krti hun apko aaj ki post zaroor pasand aayi hogi.
Aise hi Tech news aur gadgets related notifications ko paane ke liye Asianhindi.com ko follow krna na bhule aur humaare FB page ko bhi like zaroor kare.
Apke man me koi sawal ho to usko comment me zaroor likhe. Post read krne ke kiye bahut bahut dhanyawad.
No comments:
Post a Comment