Oppo flagship phone : Oppo Reno specification, price, launch date in India - Asian Hindi

Breaking

Daily Updates Hindi me! AsianHindi site par Technology, Entertainment, Sports, politics aur bhi duniya bhar ke khabar milenge. Asian Hindi Website par Asian ke har updates hindi me diye jate hai

Post Top Ad

Friday, June 7, 2019

Oppo flagship phone : Oppo Reno specification, price, launch date in India

Hi doston Oppo Reno launch ho chuka hai to aayiye jaante hai Oppo Renu ke Full specifications ke sath Oppo Reno ke key specificatoins. Agar aap bhi Oppo Lover hai to Ye post apke liye kaafi zada helpful hai kyunki Oppo ne 7 June ko hi apna new Model Oppo Reno ke naam se launch kiyaa hai. 

Bataya jaa rhaa hai ke isme camera quality, Display Quality aur performance bahut hi zada achha hai to chaliye jaante hai details me.
Oppo Reno launch in India
Display Quality of oppo reno
Oppo Reno mobile me 6.4 inches ki display dekhne ko mil jaati hai jo ke AMOLED display hai.  Iska screen resolution 1080 × 2340 pixels hai aur screen density 403 ppi. Oppo Reno ka weight 185 grams ka hai aur ye jet black Ocean green colour me available hai.

Camera Quality of oppo Reno
Oppo Reno ka main camera 48 MP + 5 MP ka Dual Primary camera with LED flash ke sath aata hai.  Aur Front camera 16MP ka hai with LED flash. Back yane main camera me Continuos Shooting, High Dynamic Range mode (HDR) Shooting modes availabe hai.

Performance of oppo Rano
Oppo reno me Qualcomm Snapdragon 710 ki chipset aur Processor Octa core (2.2 GHz, Dual core, Kryo 360 + 1.7 GHz, Hexa Core, Kryo 360) shamil hai. 


Storage Capacity of oppo Reno
Oppo Reno is mobile me 128 GB ki internal strorage hai jisko 256 GB tak expand jiyaa jaa sakta hai. Aur RAM ki baat ki jaaye to isme hume 8 GB RAM dekhne ko mil jaati hai. Ye mobile USB OTG support karta hai.

Battery Life of oppo reno
Oppo Reno ki battery capacity 3765 mAh ki hai jo ke quick charge support karti hai. Iski Battery ka Type Li-ion hai. 

To doston ye the Oppo Reno se jude important features & key specifications. Aasha krti hun apko aaj ki post zaroor pasand aayi hogi.

Aise hi Tech news aur gadgets related notifications ko paane ke liye asianhindi.com ko follow krna na bhule aur hunaare FB page ko bhi like zaroor kare.

Apke man me koi sawal ho to usko comment me zaroor likhe. Post read krne ke kiye bahut bahut dhanyawad. 

No comments:

Post a Comment