Bina aapka force kiye apne Bachho se HomeWork kaise banvaye! - Asian Hindi

Breaking

Daily Updates Hindi me! AsianHindi site par Technology, Entertainment, Sports, politics aur bhi duniya bhar ke khabar milenge. Asian Hindi Website par Asian ke har updates hindi me diye jate hai

Post Top Ad

Wednesday, July 31, 2019

Bina aapka force kiye apne Bachho se HomeWork kaise banvaye!

Bacho se Homwork kaise banvaye:-
Kayi parents aise hote hai jo apne Bachho ko Homework karane ko apna Duty samjhte hai.Unhe lagta hai ki Kaise bhi karke woh apne Bacho ko bas homework kara de.Aur agar Bacho ki bat kare to unhe kabhi ye pasand hi nahi hota hai ki voh Apne Homework ko complete kare.Kyuki Bachpan me hame kabhi bhi padhne ka man nahi karta hai.

Aap bhi yad kijiye apne Bachpan ko.Apko bhi kabhi bhi padhne ka man nahi karta hoga.Yad kijiye ki kya aap bina muh banaye apna Homework ko complete kiya tha? Mata-Pita ka Dantne ke bad hi Copy-kitab padhne ke liye uthayi gayi hogi.

Bacho ko unhe ye kam kabhi pasand hi nahi aata hai.Ki woh Homework ko banaye.Woh log use majboori samjh kar banate hai.Lekin Roj ki ye padhai bahut zarori hai.Taki bachhe ko bhavishay ke liye Taiyar kiya ja sake.
Esliye aaj hum es vishay ke upar bat karne wale hai ki Apne bacho se Daily homework kaise banvaye.Bina aapka force kiye.Taki woh apne anusar daily routine ke taur par apna homework achhe se bana sake.



Bacho se Homework kaise banvaye?

*Timetable Set karvaye.
Adhiktar mata-pita apne bacho ke liye timetable banate hai.Esme aap thora badlab kijiye.Bacho se kahiye ki ve apna timetable khud set kare.Esme Schoolse aane ke bad ke timetable ko set karne ko kahe.Esme unke Khelne,khane aur aram karne ke samay ko shamil karne ko kahiye..Homework ke liye ek nischit samay ko Tay karne ko kahe.Bachho ki Age ke hisab se 15minute ya 30 minute ya 1 ghanta nirdharit karne ko kahe.

*Aap apne bachho homwork banate samay aaspas rahe
Bache aksar homework karte karte khelne lagte hai.ya unka dhyan aur kisi chiz me lag jata hai.Koshish kijiye ki bachhe ki study room vaha par rakhe jaha aap aaspas rahe.Us dauran aap apna pasandida kitab padh sakte hai.Esse dekhkar bachha bhi apna kary gambhirta se karega.


*Shikshak se samprak rahe.
Abhibhavak hmesha shikshak se samprk me rahe.Esse unhe bache se sari jankariya milti rahi.Parents teacher meatimg hmesha attend kare.School dairy ko bina laparvahi se check kre.Esse bache ko bhi lagega aap uski Sikshak ko lekar sakriye hai.

*Madad karne ki jyada koshish na kare.
Abhibhavak aksar bache ko jyada homework dekhkar Unki madad karne ki koshish karne lagte hai.Aur yahi par bacha loose ho jata hai.Kuch to homework hi bat lete hai.Example ke taur par Assignment,Project etyadi ko khud banane lagte hai.Es bat ka khyal rakhe ki ye kary bacha ka hai apka nahi.Madad karna chahta hai to unhe margdarshan kare na ki khud use banane baith jaye.

Conclusions
To ab aap samjh hi gaye honge ki apne bacho ko kaise homework banavana hai.Agar aapko yah tarika pasand aaya ho to ya article"Bache se homework kaise karaye" apne dusre parents tak bhi ye article pahunchaye.taki ve bhi es tarike ko jan sake.


Aise hi latest update, Gyan badhe bate,Sports,movie related aur Duniya bhar ki khabar pane ke liye AsianHindi.com facebook page like aur follow krna na bhule. Post read karne ke liye Bahut bahut Dhanyawaad.

No comments:

Post a Comment