Whatsapp application me jald hi hoga Finger print lock! - Asian Hindi

Breaking

Daily Updates Hindi me! AsianHindi site par Technology, Entertainment, Sports, politics aur bhi duniya bhar ke khabar milenge. Asian Hindi Website par Asian ke har updates hindi me diye jate hai

Post Top Ad

Wednesday, August 14, 2019

Whatsapp application me jald hi hoga Finger print lock!

Whatsapp Application me jald hi hoga Finger print lock! | Social media app Whatsapp par aab hoga Finger print lock

WhatsApp par aay din badhte users ko dekhkar WhatsApp company din partidin WhatsApp ki features badhata aa raha hai. Aur aise hi es bar naya features WhatsApp company lane ka plan bana raha hai. Jald hi ye features users ko provide kar diya jayega. Ab android me bhi sayad fingerprint sensor lock ka istemal Andoid users bhi kar payenge.


WhatsApp ne android beta users ke liye fingerprint lock feature uplabdh kara diya hai. Yah feature lambe samay se aise users ke liye uplabdh raha hai. Naya feature Whatsapp ke android beta version 2.19.221 ke sath ata hai. Lekin yah default me disabled hai. Users ko es feature ko settings me jakar enable karna hoga.

Es feature ke aa jane ke bad Whatsapp android users ko apne chat ke protection ke liye ek aur suvidha mil jayegi. Eske alava show content in notifications ka vikalp bhi joda gaya hai. Ab users stay kar payenge ki fingerprint lock enable hone par message ko chhipana hai ya dikhana.
Jaisa ki hamne aapko bataya, fingerprint lock vikalp Android beta version 2.19.221 ke sath aaya hai.

Yeh default me disabled hai. Users ko Whatsapp setings > account > privacy > Fingerprint Unlock me jakar Ese enable karna hoga. Agar aapne apne aap ko letest version par update kar liya hai aur yah features nahi mil raha hai to ham aapko sabse pahle chat history ko backup kare.

Fir whatsapp beta app ke is versiom ko dobara install karne ka sujhaav denge. Gaur karne vale bat hai ki Es features ko istemal karne ke liye phone me kam se kam Android marshmallow hona chahiye. Sath me fingerprint scanner  hona zarori hai.

Enable vikalp chunne ke bad Users Fingerprint authorization ke zariye Whatsapp ko unlock kar payenge. automatics lock ke tin vikalp hai- turant,1 minute bad aur 20 minute bad. User apne pasand ke hisab se kisi bhi vikalp ko chun sakte hai. Agar aap immediately vikalp ko chunte hai to es app ko har bar istemal karne ke liye fingerprint authentic karana hoga. IOS app me 15 minute vala vikalp bhi hai. Lekin yah abhi Android app ka hissa nahi bana hai. 

Ummid hai ki Company es vikalp ko Whatsapp ke stable version ke sath Rolout karenge. Android me show content in Notification ka naya vikalp hai.Fingerprint lock enable hone par users tay kar payenge ki vo message  sender privacy  ko dikhana ya chhipana chahte hain.

Agar aap es vikalp ko nahi enable karte hain to aap pahle ke tarah notifications se hi message ke javab de payenge aur Whatsapp message ka uttar de payenge. Kyonki fingerprint authorization sirf whatsapp ke liye set hai. Whatsapp ke nayi feature par nazar rakhne vale WebInfo ka kehna hai ki fingerprint lock feature  Enable karne par visit content default me chhipa rahta hai.

Conclusion
Mujhe ummed hai aapko yah features kafi pasand aaya hoga.Aur agar abtak aapne en sab ka istemal nahi kiye hai to abhi apne whatsapp ko update kare.Aur agar ye news article achha laga ho to apne dosto aur ristedaro ke sath share karna bilkul bhi na bhule.

Aise hi Sports,movie related aur Duniya bhar ki khabar pane ke liye AsianHindi.com facebook page like aur follow krna na bhule. Agar aapko yah article achha laga ho to apne dosto ke sath share zroor kare. Post read karne ke liye Bahut bahut Dhanyawaad

No comments:

Post a Comment