Honor Mobile Brand ke baare me janiye hindi me!
Hi dosto Asian Hindi pe apka swagat hai, aaj hum baat krne wale hai Honor mobile bran ke baare me. Honor mobile ke Flagships aur acheivements sath hi sath Honor ke Products ke baare me hindi me.
Honor Brand ke Baare me
Honor ki kalpana 2011 me ki gyi thi aur sthapna 2013 me Ren Zhengfei ne ki hai. Iske baad se hi smartphone ki honor line ne Huawei ko china me budget online brands me Re-competition krne me help ki.
Huwaei company jo networking, Telecommunications equipment aur services deti hai uska ka sub-brand name Honor hai. Honor series me Computing devices ke sath sath headphones, smartphones, Tablet aur wearable technology related chize shamil hai. Honor ke 4 Vibhag hai Beijing, Shanghai, Hangzhou & Hong Kong.
George Zhao honor Brand ke global president hai aur Eva Wimmers Europe me is brand ke President hai.
Honor Ki Flagship ke baare me
Honor company ne 2014 me 3C mobile ko malaysia me launch kiya tha aur uske baad berlin me ghoshna krdi aur 2014 me hi europe me marketing krne ke liye startup kiya. Uske baad honor ke 3 Flagship Rumor me samne aaye.
Honor ki 1St Flagship
Honor 6 Europe ke liye pehla Flagship mobile tha 2015 ke pehle 6 mahino k andar 20million mobiles yaane honor 6 sell hue jo ke 2014 me hui saare smartphone ki selling ke barabar the.
June 2015 tak Honor Brand ka kaafi zada naam ho gya jisme total 74 countries ka naam tha, insab ko mila kar Europe nations, India aur Japan bhi insab me shamil hue.
Honor ki 2Nd Flagship
Honor 7 is flagship ka second mobile sabit hua jo 2015 me release hua tha. October 2015 me honor ne selling aur profit ke goal ko double krdiya jo $5 Billion ke munafe tak pahhunch gya.
Uske baad unho ne India pe focus krne ke liye announcement krdi. 2015 me honor ne ye decide kiya ke wo apne smartphone series aur wearable technology products ko United Kingdom se bechna shuru krenge.
Jab honor ne apne kadam U.K me rakhe tab Huawei Honor 5X jo ki 2016 me me aaya tha bs online purchase ke liye hi available tha. Report ke mutabik 2016 me honor brand itna sell hua ke unki income $8 Billion ki hui thi
Honor ki 3rd Flagship
Honor 5 is flagship ka 3rd mobile tha jo 2016 me launch kiya gaya tha. December 2016 me honor ne magic seties ka khulasa unke brand ki 3rd aniversary pe kiya tha jisme artificial intelligence Software shamil the.
2017 me honor 6X jo china me available tha uspe announcement krdi ki wo ab U.K ko mila kr baki 13 markets me bhi sell hoga. Phone ne "best of CES 2017" awards me se several technology publications jisme Android Authority, Digital Trends, Slash Gear, aur Talk Android ye shamil awards ko jeeta.
honor ki 4th Flagship
Honor 9 Honor ki 4th flagship ka hissa bana jisko june 2017 me launch kiya gaya. Is phone ke usi mahine me one million units ship kiye gaye.
2018 me XDA developers ne Info-Graphic ko present kiya jisme ye bataya gaya ke Honor ka product Honor 10 Huawei ka sabse best charging rated smartphone hai.
5 September ko china ki ancient city Xi'an me Honor 8X aur Honor 8X Max ko release kiya gaya.
To dosto ye thi Honor mobile ke bare me poori jaankari. Agar apko ye post achi lagi ho to isko apne dosto ke sath share zaroor kare.
Asha krte hai apko Huawei ke sub-brand Honor ke baare me sari jaankari ache se smajh me aa gyi hogi.
Aise hi Latest Knowledgeable updates paanee ke liye asianhindi.com ko subscribe aur Follow krna na bhule.
No comments:
Post a Comment