Huawei Y9 (2019) Launched in India, Camera, Price ? | Janiye Huawei Y9 (2019) Purah khasiyat
Hello, is post me aapko jankari milega Huawei company ne Y9 (2019) Smartphone ko bharat mein Release kar diya hai uske bare me. aur Huawei Y9 (2019) ke Full specifications, Kimat kya hai bharat me woh bhi apko janakari milega.
Huawei company ne ek handset ke bad ek handset launch kar raha hai, usme se hi aj India me Huawei Y9 (2019) phone ko launch kiya hai, Huawei Y9 (2019) yeh smartphone Huawei Y9 (2018) phone ka hi Upgrade version hai, huawei y9 (2019) phone me 4 camera diya gaya hai jaha pe AI (Artificial intelligent) sensor ko istemal kiya gaya hai.
Image credit by Gadget360 |
Huawei Y9 (2019) phone ka Performance ke liye
is phone me GPU Turbo technology istemal hua hai. jisse graphics ka performance 1.3 ghuna tak badhne me madad karta hai. Huawei Y9 (2019) phone me 6.5 inch ka display hai, and 2 rear camera, 2 front camera hai. smartphone ko sahi chalne ke liye Hisilicon kirin 710 processor, 4,000 mAh ka battery diya gaya hai.
Huawei Y9 (2019) Price in India
Jankari keliye apko bata du Huawei Y9 (2019) phone Amazon.in par 15 january se sale kiya jayega. Huawei Y9 (2019) ki price 15,990 rupeya hai. is price se apko 4GB RAM, 64 GB storage vala Variant milega. is phone ke sath Boat Rockerz Sports BT Headphone di jaya raha hai. jiska kimat hai 2,990 Rupeya. lekin dosto yeh offers ke tour par diya jayega. aur yeh offer bhi limited rahega.
Huawei Y9 (2019) Full specifications
Display 6.5 Inch Full HD+ Resolution : 1080x2340 Pixels hai, is phone ka Aspect ratio : 19.5:9 hai. Huawei Y9 (2019) par dual sim support karta hai, dono nano sim support karega. is phone ka OS EMUI 8.2 sath me Android 8.1 Oreo par chalta hai. camera ke bat kare toh is phone me Rear camera 13MP and 2MP ka sensor diya hai. Selfie camera ke liye isme front par dual camera diya gaya hai jisme ek hai 16MP aur ek 2MP ka sensor diya hai. Selfie camera par AI features bhi diya gaya hai. storage&perform ke liye 4GB RAM, 64GB Internal storage hai, sath me ap 256GB tak upgrade kar payenge Micro SD ke madad se.
Fingerprint Huawei Y9 (2019) par 4.0 Identification technology hai. Network aur connectivity ke bat kare toh is phone me 4G Volte, WiFi, Bluetooth, GPS/A-GPS aur micro USB port diya hai. aur bhi is phone me light sensor, digital compass, bagera diya gaya hai. is phone ka size hai 162.4x77. 1x8.05mm battery ke bat kare toh 4,000 mAh ki battery di gay he jise lekr dava kiya ja rha hai ki yeh 65 Hours ka Music, Aur 9 hours ka video playback time pradhan karta hai.
Key Specs
Display : 6.50 inch
Processor : 2.2 GhZ Octa-core
Rear camera : 13 megapixels and 2 megapixels
Front camera : 16 megapixels and 2 megapixels
Colors : Midnight black, Blue Swarovski and Aurora Purple
Toh Dosto aise hi latest updates, technology, aur Duniya ka hal chal pane ke liye AsianHindi site ko follow and hamare facebook page ko like karna na bhule. Dhanyabad
No comments:
Post a Comment