Reliance jio ne apni pichle sal 2018 ke last 3 mahino ki report share ki hai . Abhi sabhi or 10year challenge ki hod chal rahi hai to yaha jio ne apna report share kar diya . Ye tin mahin report ke mutabik unki subcriber ki sankhya or earning ke mamle me bahut badi sabit huyi hai.
En teen mahino me bahut jyada logo ne jio ko subscribe kiya or jio ke network se jud . Isi karan se jio ki kamai me bhi ek bahut badi uchhal aayi hai.
Jio ne sal 2018 October, November or December mahine ki report share ki hai . Jiske mutabik en mahino me me subscriber ki sankhya me teji se badhav ke karan se 31 December 2018 tak jio ko 28.01 caror logo ne subscriber kar liya hai. Es report ke mutabik jio ke jitne bhi customer hain unme se sabhi ka per month ka ausat dekhe to pratyek vyakti har mahine jio me 130 rupaye kharch karta hai.
Es report me yah bhi bataya gaya hai ki en teen mahino me jio ne total 10,383 caror rupaye kamaye hain jo pahle 6,879 caror thi . Yah report chaukane vali nikli khas karke ye teen mahine jio ke liye golden sabit huye hain .
Har mahine log jio ka upyog karke pratyek vyakti 794 minutes voice call me bat karta hai sath har mahina per vyakti 10.08 GB data ka estemal karta hai . Jio ke yah report ne sabit kar diya hai ki india me abhi bhi jio ka prabhav kayam hai or jyada se jyada log jio se jud rahe hain. Es report ke mutabik har user per month jio recharge me 130 rupaye kharch karta hai.
Ummid hai aapko yah news pasand aayi hogi. Latest technical or trending news pane ke liye hamare website asianhindi.com ko visit karte rahiye or hamare facebook page ko like karna na bhoole.
No comments:
Post a Comment