Android update : Ab ayega Android Q, Janiye kya dekhne milega Android Q par - Asian Hindi

Breaking

Daily Updates Hindi me! AsianHindi site par Technology, Entertainment, Sports, politics aur bhi duniya bhar ke khabar milenge. Asian Hindi Website par Asian ke har updates hindi me diye jate hai

Post Top Ad

Friday, February 1, 2019

Android update : Ab ayega Android Q, Janiye kya dekhne milega Android Q par



Android update : Ab ayega Android Q, Janiye kya dekhne milega Android Q par !

Hi dosto Asian Hindi pe apka swagat hai, Ek rumor par paya gaya hai Android ke bare me ki agla jo Android version hoga uska naam Q se suru hoga, aur Report par yeh bhi samne aya hai ki Android Q par kuch aise features ayenge jo helpful aur jabardast honge. 


Android Q Update Features

Android Q agle 3-4 mahino me launch hone waala hai to chaliye jaante hai Android Q me kya kya features dekhne ko milenge. Yeh Android updates Itne slow Hote Hain ke aap Pucho mat isiliye aap latest updates par hi rahiye taki aap ko aane wale updates jaldi se jaldi mil sake.

Android Q ka naam kya hone wala hai yeh abhi tak Kisi Ko Nahi Maloom Jaise O ka Oreo Hai Android P ka Pie hai, Waise Hi Android Q ka bhi kisi sweet ke upar Hi Ek Naam Hoga Jiska anuman Lagaya nahi ja sakta Agar Anumaan lag bhi jata hai to iska matlab ye nahi hai ki woh naam Q se wahi hoga.

Android Q ke Features :
System Wide Dark Mode feature
Wide dark mode ka matlab hai aapki Jo screen hai woh dark mode pe chalegi is feature ka Kafi fayda Hai Hame Aankhon Mein problem nahi hogi blue light se Hame Kafi Jyada Rahat milegi. Background Black hoga aur fonts light colour me honge. 


System Wide Dark Mode Feature

Is se battery ki bachat zada hogi aur andhere me mobile chalana easy ho jayega. Yeh features sirf ek app ke liye nahi hai balki poore ke poore mobile ke liye hai poore system ke liye hai Halaki ye feature abhi Android OS or Android P mein dekhne Ko Nahi Hai Magar Android Q main isko confirm dekhne ko milega.

Whatsapp Dark Mode Feature Ke baare me janiye.

Inbuilt Desktop Mode Feature
Agar Apke Pas Ek desktop hai to aap is inbuilt desktop mode feature ke zariye apne mobile ko connect kar paoge Apne desktop ke sath aur apne Jo phone ke features hai woh desktop pe bhi chala paoge.




Face Recognition feature / Face Id
Android Q me hardware ka support ayega Jis Se face recognition feature or a face ID ka feature Kafi acche se kaam karega or security bhi bahut acchi Rahegi aur ye bahut acche se kaam karne wala hai. Photo ke sath aap isko khol nhi paaoge.


Face Recognition Feature

Smart Lock Feature
Android smart lock feature saare smartphones me paya jata hai Jisme Ek function hota hai ki agar aap apne mobile device ke paas jate hai to mobile device automatically unlock ho jata hai aapko usko unlock Karne Ki Zaroorat Nahi padti Hai

Android Q mein yeah function Mein Kafi advanced feature Milne Wale Hai Jis Se aap time set kar sakte hai ki aapko aapka wo Jo feature hai kitne time ke liye activate Rakhna hai aur aise Kafi Sare feature smart lock ke liye dekhne ko milenge.

Control On App Permissions
Android Pie Jab Aaya  tha tha bahut Bade Change ke sath aaya tha jo ki app permissions ke liye tha to Android Q may bhi Aapko app permissions ke upar pura detail Mein control karne ke liye authority milega

Redmi Xiomi Go ke leaked Speficications 

For example agar aap 2 apps chala rahe ho aur aap nahi Chahte ki jo background Mein app chal raha hai usko microphone ka permission ho to aap us permission ko yaane jo app background mein chal rahe app ke permission ko aap off bhi kar sakte hain.

Screen Record Feature
Android Q me ye sabse bada accha update hai ki aap screen ko record kar sakte hain for example aap Abhi ke smartphones me sirf screenshot hi Le Sakte hai Screen Record ka option apko directly nahi diya jaata hai.


Android Q screen record Feature

Screen record krne ke liye apko playstore se alag se app download krna padta tha. Magar Yahan Is Android Q me apko Screen recording karne ka option bhi available hone wala hai jo ki bahut jyada faydemand hai.

Android Previews For All
Android Q ka aur ek Bada update Yeh Hai Ki Agar koi App Ka update Aane Wala Hai Jisko ko beta version bhi Kaha jata hai, To sabse pahle uska preview testing ke liye apko Mil Jayega Pehle ye sirf pixels ke devices mein available tha magar ab baaki devices me bhi dekhne ko milega.




Downgrade Feature 
Android Q ka Ek Aur sabse bada update or bahut important update Yeh Hai Ki agar aapne koi bhi update kiya hai agar aap ko pasand nahi aata hai to aap usko downgrade bhi kar sakte hain

For example aapke mobile mein upgrade Aata Hai features ka aur aap ko pasand nahi aata hai to aap usko downgrade kar sakte hain, Android OS or Pie me ye features nhi hai magar Q me available hone waala hai.

Display Feature
Normally Hum Jis update Mein hai us update me Hame Display ko acha rakhne ke liye ya apne according display customise krne ke liye Jada controlling ki permissions aur options available nahi hai.
Android Q Display Feature

Magar Android Q me ispe bhi ek Display Feature diya hai jisme Hum Apne mobiles ke icons aur font ke styles ye sab apni Marzi ke mutabik modify / customise kar sakte hain unko change kar sakte hain. Hume apne mobile ka jaisa internal look chahiye vaisa look hum de sakte hai.

Janiye Email ID Hack Kaise Hoti Hai

To dosto ye thi Aane waale Android Update Q ke Features ke baare me jaankari

Ap kaunse Update pe hai Hume comment krke zaroor bataaye. Is post ko apne Family aur Dosto ke sath share krna na bhule. Aise hi latest updates paane ke liye Asianhindi.com ko follow krna na bhule.

No comments:

Post a Comment