Multiple device par Internet istemal kaise kare | JioFi Review in Hindi
Namaskar Dosto, asha karta hu ap sab acche hi honge 😊 aj ke is post me hum ek helpful aur useful baat janenge, Jo ki ajkal sabhi ko jarurt padti hai jo bhi Smartphones, computer istemal karte hai aur jo ek se jyda computer ya mobile use krte hai uske liye toh yeh jankari bahut hi helpful rahegi
aiye jante hai Multiple device par internet istemal kaise kare, aur JioFi ke bare me bhi bat kare, jo ki mene Flipkart se Buy kiya. kimat aur iska specs janenge.
Multiple device par Internet istemal kaise kare !
agar apke 1 se jyda Pc/laptop hai ya fir 1 se jyda smartphone hai aur aap soch rahe hai ki ek sabhi me internet kaise istemal kare, to iske liye sabse aasan tarika hai ki ap ek JioFi kharid le, JioFi ek router device hai jisme ap Jio ka Sim dal kar internet istemal kar payenge. Isse ap 10 device par wifi de payenge, Jiofi se ap apne pc par Data cable laga kr bhi internet chala payenge.
JioFi Price
JioFi Review, Specs
Jiofi ke sath apko ek USB data cable ek adapter milta hai, sath me battery bhi hai, JioFi review ke bat kare toh internet ki apko behetarin speed mil jati hai. Agar aap isko range waale jagh pe nahi rakhenge to ho sakta hai shayad apko speed kam mile isliye aap aisi jagh pe rakhe jahan pe full range milti ho.
Sab log is baat ko ache se jaante hai Jio users kaafi badh chuke hai jiski wajh se connection distract hota rehta hai, JioFi ke bare me iske baare me keh nahi sakte kyunki ye depend krta hai apke area aur Range ke upar.
No comments:
Post a Comment