Samsung folding smartphone unvield, India me launch hone ka update samne ayi hai - Asian Hindi

Breaking

Daily Updates Hindi me! AsianHindi site par Technology, Entertainment, Sports, politics aur bhi duniya bhar ke khabar milenge. Asian Hindi Website par Asian ke har updates hindi me diye jate hai

Post Top Ad

Wednesday, March 6, 2019

Samsung folding smartphone unvield, India me launch hone ka update samne ayi hai

Samsung Galaxy Fold confirmed to launch in India

Market mai roz koi na koi new phone aata rehta hai or Samsung ke phones ki to baat hi alag hai. Samsung ne is saal aapne bhut se smartphones ko launch kiya hai or vo bhut hi achi price range ji haa dosto mai baat kar raha hu. Samsung ke M series smartphones ke baare mai. M series ki sale filhaal Amazon pe chal rahi hai or bahut bik raha hai. 


Samsung ke M series smartphones aane ke baad Samsung ne apna ek or phone launch kiya jo Samsung galaxy S10 tha. Hala ki iss phone mai aapko koi notch vala display dekhne ko nahi milta but phone ko overall compare kare to yeh ek bahut hi accha phone hai photography or gaming ke maamle mai bhi.

Aiye jante hai samsung ki ane wale folding smartphone ke bare me



Haal hi mai Samsung ke taraf se ek or update nikal ke aayi hai ki Samsung ne aapna folding smartphone ko unvield kar diya hai jiska naam Samsung galaxy fold hai. 

Specifications of Samsung galaxy fold

Samsung galaxy fold mai iska jo main Highlights hai vo to hai iska display or is phone mai do display ka use kiya gaya hai. Andar ke side mai aapko ek foldable display diya gaya hai jo ki full HD amoled plus high dynamic range vali hai. 

Or bahar ke tarf apko ke 21:9 ka yaani ko 4 inches ka small full hd amoled display diya gaya hai.Phone ke side mai aapko fingerprint sensor dekhne ko milta hai jo ek lock button jaisa hai. Phone ke camera ki baat kare to isme back mai 3 camera setup hai jo ki 12+12+16 megapixel hai or phone ke andar ke side pe 10+8 MP ka camera hai or jab phone ko fold kiya jata hai to iske front mai bhi 10 MP ka camera hai. 


Baat agar iss phone ke processor ki kare to isme snapdragon 855 processor hone vala hai or is phone mai apko 12 GB ki RAM or 512 GB ki internal storage milne vaali hai jo ki bahut hi acchi baat hai.

Price and launch date

Agar baat Samsung ke is folding smartphone ki kare to iska price  $1,980 US dollars hai jo india mai iska price banta hai vo 1,40,000 ke aas pass hai. Vaise to is phone ko aabhi launch nahi kiya gaya hai bas ek stage event mai iski kuch jhalak dikhaie gayi thi. Samsung galaxy fold 26 April ko launch hone vaal hai.

To yeh thi kuch aaj ki updates Samsung galaxy fold ke Baare mai. Mai aasha karta hu aapko yeh jaankari pasand aaie hogi.

Aise hi Tech news hindi or technology, sports, Entertainment related chatpati khabro ke liye AsianHindi  ko follow kare or sath me Facebook page bhi like kre. Thanks for read

No comments:

Post a Comment