Call of duty ab Mobile par Android me | coming call of duty mobile - Asian Hindi

Breaking

Daily Updates Hindi me! AsianHindi site par Technology, Entertainment, Sports, politics aur bhi duniya bhar ke khabar milenge. Asian Hindi Website par Asian ke har updates hindi me diye jate hai

Post Top Ad

Wednesday, March 20, 2019

Call of duty ab Mobile par Android me | coming call of duty mobile

Call of duty ab Mobile par Android me | coming call of duty mobile

Dosto games to aap sabhi khelte hi honge or aapko sabse jada PUBG badhiya lagti hogi kyuki PUBG game hi kuch is tarah ki hai. Jisme aapko kuch jada nahi bas 100 players ko team mai last mai bachna hota hai. 

Kya aap jante hai ki haal hi kuch dino mai PUBG bahut hi famous ho gaya hai or bahut si companies ne PUBG ka mukabla karne ke liye use type ke games develop kiya hai par PUBG filhal puri duniya mai khele jaane vala sabse best game hai. 


PUBG ko Tencent games or bulehole company ne develop kiya hai. Aabhi filhal kuch din phele PUBG mai ek latest update aya hai jisme kaffi kuch change hua hai. Dosto filhaal aaj mai ek game ke baare mai batane ja raha hu jo ki PUBG ki tarah hi hai. aur sayed pubg ko takkar denge



Call of duty : ji ha dosto is game ka naam call of duty hai. Abhi haal hi ke pichle kuch saalo mai PUBG or bhut se online game trend mai chal rahe hai or jio ke aane ke baad se log online games jaada khelne lage hai. 

Jis karan call of duty mobile naam ki game bhi jald launch hone wala hai. Call of duty game bhi ek players unknown battelground ground ki tarah hi hai jisme aapko solo, duet, or squad mai khelne kha option mil jaata hai. 

PUBG ki tarah isme zombie ka features bhi diya gaya hai. Is game mai aap aapne character ko customize or weapons ko bhi customize kar sakte hai game ki currency se. Filhal aabhi yeh game beta tester ke liye available hui hai. Abhi iska global version nahi release hua hai.



Vaise to fill haal is call of duty game ki pre registration shuru ho chuki hai or yeh game android or ios dono mai available hai. Haal ki flagship grade or mid range phones mai yeh game bhaut ache se run karegi. 

Jab aapke pass koi purana version ka ya mid range se neech ka phone hai jiski specifications game se nahi match ho rahi hai us phone mai aapko kuch lags or heating issue dekhne ko mil sakte hai. to dosto ap bhi call of duty game ko play store par pre register kar sakte hai.

Toh yeh tha aj ke update gaming related call of duty mobile ke bare asha karta hu apko yeh post pasand aya hoga, is post ko apne dosto ke sath jarur share kare.

aise hi latest update aur duniya bhar ki khabro ke liye Asian Hindi ko follow aur hamare Facebook page like kare. 
Thank You

No comments:

Post a Comment