Pichle kuch saalo mai Huawei ne apni mobile technology mai kaafi sudhar kiya hai. Vaise to market mai Huawei smartphone ke bhut se models available hai par aaj mai aapko Huawei ke new upcoming smartphone jiska naam Huawei 9S hai uske baare mai btane ja raha hu.
Specifications of Huawei 9S
Huawei 9S mai aapko 6.21-inch IPS LCD display milta hai jo ki full-HD+ resolution ko support karta hai or jiska resolution 1080 x 2340 pixels hai. Is phone ke Front mai ek U shape notch diya gaya hai ek single camera ke liye. Huawei 9S ke processor ki baat kare to isme aapko 12nm HiSilicon Kirin 710 octa-core chipset milta hai or agar RAM ki baat kare to isme aapko 4 GB ki RAM or 64 GB ki in-buit storage milti hai.
But kuch leaks mai yeh nikal ke Aaya hai ki isme aapko 128 GB ka variant bhi dekhne ko mil sakta hai. Is phone mai aapko android ka latest version android pie dekhne ko milta hai jo ki bhut acchi baat hai. Agar iske camera ki baat kare to isme apko front mai 8 MP or back mai 24+16+2 MP tripple camera setup diya gaya hai. Is phone mai aapko AI beauty mode bhi dekhne ko mil jaata hai. Or agar phone ki battery ki baat kare to isme aapko 3400 MAh ki battery di gayi hai haala ki battery capacity thodi increase karni chaiye thi agar phone ki specifications ke hisaab se dekhe to.

Price and launch date of Huawei 9S
Pricing ki baat kare to abhi filhal iski ko exact pricing samne nikal ke nahi aayi hai but iski lauch date confirm ho chuki hai ki yeh phone china mai launch hoga 25 march ko.
Key specifications
Display : 6.21-inch IPS LCD display
Front Camera : 8 MP
Resolution : 1080 X 2340 pixels
Back camera : 24+16+2 MP
Processor : 12nm HiSilicon Kirin 710 octa-core chipset
RAM : 4 GB
Operating system : android pie 9.0
Storage : 64 GB
Battery : 3400 MAh
No comments:
Post a Comment