Rukhe baalon ka care kaise kare?gharelu upcharo se - Asian Hindi

Breaking

Daily Updates Hindi me! AsianHindi site par Technology, Entertainment, Sports, politics aur bhi duniya bhar ke khabar milenge. Asian Hindi Website par Asian ke har updates hindi me diye jate hai

Post Top Ad

Monday, July 29, 2019

Rukhe baalon ka care kaise kare?gharelu upcharo se

Mahila ho ya purush har kisiko apne baalon se bahat jyaada lagaav hota hai. Har koee chaahata hai ki lambe, kaale aur ghane baal ho. Aaj kal kee busy lifestyle aur pradushan ke kaaran har kisee ke baal rukhee aur bejaan hone lagate hai. Aise mein har koee isaka solution dhoondhata hai. Baalon ko rukhee hone se bachne ke lie yah tareeka janne ke liye ye post padhen.


Rukhi baalon ke liye apnaye yeh tips(hair care tips for dry hair):-

*Coconut milk

Ek cup coconut milk mein do chammach chane ka aata milakar baalon mein lagaaye aur masaj kare. 5 minute baad sar ko dho de. Ese hapte me kam se kam ek baar jaroor aajamayiye. Esse aapke baalon ko jaruri posan milega aur baal khile khile rahenge.

*Arand ka tel

Ek chammach arand ke tel me ek chammach glisreen, ek chammach siraka aur ek chammach harbal shempoo milaye.Ab conditionar taiyaar hai. Ese baalon ke jado me lagaye aur 20 minute tak chhod den. Uske bad baalon ko dho dale. Nami aane ke sath bal svasth bhi rahenge. Esse aap balon se judi kayi samasya se bache rahenge.

*Nariyal ke tel

--Ek chammach jaismin ke tel me ek chammach nariyal ka tel milayen aur es mishran ko kuchh second ke liye garm kare. Raat me esase balo ke malish kare. Aur subah harbal shempoo se dho dale. Esse hapte me do baar aajamaya ja sakta hai. Nariyal ke tel me jaruri vitaamin E hota hai. Jo balo ke liye behad jaruri mana jata hai. Purane samay se bhi balo ke liye nariyal ke tel ko jaruri mana jaata tha.



Balo ka dekhabhaal kaise kare:-

*Baalon ke liye anda(egg)
Ande ke Safedi jarde ko alag kar le fir usme do chamach gungun pani milaye. Ab es mishran ko apne gile balo me aur jadon me lagayen. fir ungaliyon se 15 minute ke liye masaj kare. Fir masaj kane ke bad apne balon ko shempoo se dho le aur thande paani ka istemaal kare. Es mishran ka istemaal hapte me ek ya do baar jaroor kare.


*Baloo ke liye kela(banana)
Ek kele ko maish karle aur fir use apne balo ke jadon ke chhor tak lagaye. Aur aise hi kuchh ghanto tak balon me laga hua chhod de. Aur fir apne balon ko gungune pani se dho le. Achcha parinam pane ke liye hapte me ek baar ese jaroor aajamaiye.


Rukhe baalon ke liye apnaye ye sab tarike:-

*Baalon ke liye sahad

Ek ya aadha sahad ko dhule ya geele balon me lagaye aur halke halke jadon par masaj kare. Ab apne balon ko aadhe ghante ke liye  shavar cap se cover karle. fir balon ko dhone ke liye gunagune pani ka istemaal kare.Achchha parinam pane ke liye hapte me ek ya do baar ese jaroor aajamaiye.


*Baalon ke liye alovera
Ek ya aadha cup alovera jel me do chamachch arande ka tel aur mithe paudar aur ek chammach tulsi paudar milayen. Ab es mishran ko achchhe se milayen. Aur fir rat me use apane jadon aur balon me lagaye. Ab apne balon ko shavar cap se dhak de aur rat bhar aise hi laga hua chhod de. Subah ko apne ko shempoo se dho le. Es upaay ko hapte me ek baar jaroor apanaiye.

En sab tarike ko istemal karke aap apne bal ko thik rakh sakte hai.apne baal ko rukhepan se banchit rakhne ke liye ye nuskhe aapka kam aayenge. Agar aapko article achha laga ho to share karna na bhule.

Aise hi latest update, Gyan badhe bate,Sports,movie related aur Duniya bhar ki khabar pane ke liye AsianHindi.com facebook page like aur follow krna na bhule. Post read karne ke liye Bahut bahut Dhanyawaad

No comments:

Post a Comment