Space research karna chahate hai to join kare ISRO - Asian Hindi

Breaking

Daily Updates Hindi me! AsianHindi site par Technology, Entertainment, Sports, politics aur bhi duniya bhar ke khabar milenge. Asian Hindi Website par Asian ke har updates hindi me diye jate hai

Post Top Ad

Monday, July 29, 2019

Space research karna chahate hai to join kare ISRO

Bahut se logo ko khvayish rahta hai ki vo bhi space me jaye.aur vaha jakar space me research kare.Lekin unhe kuch idea nahi hita hai ki space me kaise jaya jata hai Kitna qualification hona chahiye.Kis method se hum ja sakte hai space par.Vaise to space me jane ki khvayish sabhi logo ka rahta hai Lekin Vha sirf unhi logo ko bhrja jata hai jinka pas achha khasha intelligence ho.Matlab ki ve sabhi chize chahe vo technical ho ya physical dono me best hona chahiye.


Chandryan 2 ki launching ki taiyari ho ya apne station ki sthpana ,Aap jab bhi Indian Space Research Organization Ke bare me sunte ya padhte hai to romanch se aap zroor bhar jate honge. 

Apke man me kayi tarah ke swal bhi aate honge.Jaise ki ISRO me pahunchne ya vaha ka space researcher banne ke liye kya yogta ki zroorat paregi.Student ko vaha sikhne ki kon si opportunity hai. Etyadi.
Ab ISRO ne logo ko satellite aur launch facility tak pahunchne ke liye logo ko Visit karne ke anumati tak de di gayi hai.

Kaise kare ISRO me jane ki shuruat:-
*School se kare shuruat
Sabse pahle jab aap apne school me padhenge to aapko math aur physics par aapko kari majbooti karni paregi.Matlab kahne ka hai ki aapko math aur physics me aapko bahut strong banna parega.Uske bad Indian institute of space organization me aap dakhila le sakte ho.Vaha aapka test liya jayega.Fir usme sabhi course complete karne ke bad aapko ISRO ki training ke liye milega.


*Young Scientist program
ISRO ne esi varsh hamare pure desh ke school ke student ko apne centre par ek residential programming me traning dene ke jariye aapko vaha satellites ki information ke bare me bataya jayega.Vaha aapko sattelite ko banane se lekar us program me aapko usko istemal karne tak ka traning diya jayega.Lekin usme bhi aapko test lekar hi admit kiya jayega.



*Junior Research failloship
Post graduate degree aur national eligibility jaise test ko pass karne wale chhatro ke liye bhi yaha kafi prabandh kiya gaya hai.Aagar aapke pas bhi ye sab ka degree hai to fir aap Junior research failloship scientist me aap form apply kar sakte hai.Esme liye aapko enterview me aapko pass karna parega.Aur ye jan le ki ISRO ki screenimg test bahut hi jyada hard hota hai.Esko pura karne ke bad aapka ISRO me entry ho jayega.

Mujhe ummid hai aab ap samjh gaye honge ki ISRO me entry pane ke liye kya kya karna parega.Aagar aapko yah article achha laga ho to apnw dosot aur ristedaro ke sath share karna na bhule.Kyuki agar kisi ka ISRO me jane ki echha ho to ye article padh kar vo achha khasha idea le sakta hai.

Aise hi latest update, Gyan badhe bate,Sports,movie related aur Duniya bhar ki khabar pane ke liye AsianHindi.com facebook page like aur follow krna na bhule. Post read karne ke liye Bahut bahut Dhanyawaad

No comments:

Post a Comment