Tiktok app ne delete kiye lagbhag 60 lakh videos - Asian Hindi

Breaking

Daily Updates Hindi me! AsianHindi site par Technology, Entertainment, Sports, politics aur bhi duniya bhar ke khabar milenge. Asian Hindi Website par Asian ke har updates hindi me diye jate hai

Post Top Ad

Saturday, July 27, 2019

Tiktok app ne delete kiye lagbhag 60 lakh videos

Hum sabhi ka chahita Tiktok application.Jo ki aaj har bhartiye ke mobile par aapko asani se mil jayega.Aur mile bhi kyo na Tiktok application timepass karne ke liye internet par sabse best tariko me se ek hai.Us application par 30 second ka har type chahe vo comedy,drama, motivational sabhi tarah ka video aapko vaha par mil jayega.Logo ne aapne aajab gajab acting se tiktok app ko bahut jyada bara kar diya hai.

Lekin kuch logo ki vajah se tiktok bhi badnam hota ja raha hai.Kuch log rajnaitik vicharo par ,Caste par video bana rahe hai.Jisse danga hone ka chance badh ja rha hai.Yahi sab dekhkar Tiktok ne 60 lakh video ko delete kiya hai.



Teji se popular ho rahe video sharing Socialmedia app tiktok kayi dino se surkhiyon me hai. Khabaro ke mutabik, tiktok ne bharat me content guidlines ka ullanghan karne vale 60 laakh video ko apne plateform se remove(tiktok delete 60 lakh video) kiya hai.

Esse pahle kendr sarkar ne Social media app tiktok ko notice dete huye 24 question puchhe the. jisme es social media platform ka prayog desh virodhi gatividhiyon ko lekar puchhe gaye the.

Tiktok ke sells aur partnership, sachin sharma ne teams of india se bat karte huye kaha ki ham apne plateform ko users ke creative aur talent ke liye surakshit aur sakratmk banaye rakhne ko lekar pratibaddh ha.

Unhone jor dete huye kaha ki tiktok aise kisi bhi prakar ke content ko support ya promote nahi karata hai jo ki Communities ke guidlines ka ullanghan karta ho.Tiktok ki Community guidlines me hirasment ya hate speech, graphic content ya nood content ko report kiya ja sakta hai.

Bata de ki bite saptah Tiktok kendr sarkar se ek notice mila tha. Jisme es plateform par maujud desh-virodhi gatividhiyon se sambandhit video content ko lekar 24 savaal puchhe gaye the. Bata de ki raasht svayansevak sangh (rss) se jude sangathan ne bite ravivaar kendr sarakaar se ‘tiktok’ aur ‘helo’ ko pratibandhit karane ki maang ki hai.



Sangathan ka daava tha ki ye dono app socialmedia par ‘Raashtravirodhee’ tatvon ka adda ban gaya hai. Jiske baad sarakaar ne donon app ko notice bheja hai. Isake baad harakat mein aate hue tiktok ne apane plateform se kareeb 60 lakh video delete kiye hain.

Sangathan ne kendr sarakaar se ek naya kanoon banane ka aagrah kiya jo rashtriye suraksha ke saath-saath nagarikon ke natije ke suraksha ke liye es prakaar ke app ki jaanch kare.

To ab mujhe ummid hai ki aap samajh hi gaye honge ki tiktok ne Etne sare videos ko delete kyu kiya hai.Sath me government ne un logo par sakht karvayi karne ka adesh diya hai jo es tarah ke video banate hai.To agar aapka dost ya aapke koe bhi sambhandhit log jo tiktok video banate hai un tak share kare taki ve log bhi samajh jaye ki es tarah ka video banana un par bhari par sakta hai.


Aise hi latest update, Gyan badhe bate,Sports,movie related aur Duniya bhar ki khabar pane ke liye AsianHindi.com facebook page like aur follow krna na bhule. Agar aapko yah article achha laga ho to apne dosto ke sath share zaroor kare. Post read karne ke liye Bahut bahut Dhanyawaad

No comments:

Post a Comment