Duniya me har din kuch na kuch vaigyaniko ke dwara khoj kiya ja rha hai. Vaisa hi khoj me se ek mahatvpurn khoj tha TV ka.Aaj bahut se log TV ke etne divane hai ki ve TV dekhne ke chalte khana tak ko chhor dete hai.Pahle ke jamane me thora mahnge TV aata tha.Kyuki humlogo ke pas paisw nahi the.Aur vo sab bhi TV kafi bara aur bhadaa type sa dikhta hai.Lekin jaise jaise jamana badhta chla ja rha hai.Sabhi Gadeget ka version update hota ja rha hai.Vaise hi TVe bhi ab vo bhdaa sa TV me jagah ek smart LED logo ke bich me market me aa agaya hai.Jo ki kam price ke sath.Aaj hum bat karenge vo kuch LED tv ke bare me jo market me 10 hazar(thousand) ke andar mil jata hai.
TV ki kimte ab pahle jaise nahi hai. Halat aise ho gaye hai ki ab 10-12 hajar rupye tak me smart TV mil ja raha hai. Tv ke badhte bajar ko dekhate huye kayi Videshi companiya bhi bharat me aaye hai. Yadi aap bhi kisi LED TV kharidne ke talash me hai to yah khabar aapke kam ke hai. Es report me ham aapko panch branded LED TV ke bare mein batayenge.
*JVC 32N380C HD LED
JVC ne haal hi me bhartiye bajar me apna 32 inch ka hd LED TV pesh kiya hai jisaki kimat 7,499 rupye hai. Es TV me dolbee Sround sound diya gaya hai aur ese flipkart se kharida ja sakata hai. Es TV me kinara bahut kam hai aur 12 volt ke do speekars diye gaye hai. Esme bluetooth ka bhi support milega. Esme do EHDMI aur do USB port diye gaye hai.
*TCL 32D3000 HD Ready LED TV
-TCL ke 32 inch ke is TV ko amzon se 9,999 rupaye me kharida ja sakta hai. Es TV ka 28 inch vala version bhi uplabdh hai jiski kimat 8,999 rupaye hai. Esme EHDMI port aur dolbee audio diya gaya hai. Esme 16 volt ka speaker hai.
*Micromax 32-inch HD Ready LED TV
-Micromax ke is 32 inch vale Tv me API panel laga hai. Es TV ko amzon aur flipkart se 9,999 rupye me kharida ja sakta hai. Eske saath 599 rupye adhik dene par flipkart protection program mil raha hai jiske tahat aapko ghar par repairing free me milege. Esme 24 volt ka speekar milega.
*BPL T32BH3A HD Ready LED TV
-BPL ke es 32 inch vale TV ke keemat 9,499 rupeye hai. Esme do EHDMI port milenge aur ek USB port milega. Esme 16 volt ka speaker milega. Is TV ko amzon se khareeda ja sakata hai. Eske 40 inch vala version bhi upalbdh hai.
To ab aap jan hi gaye honge ki kon kon se smart LED TV market me 10 hazar ke under me mil raha hai.jab bhi aap TV khridne jaye savse pahle uske bare me search kar lo kon sa kis TV me jyada hai etyadi.agar aapko yah article achha laga ho to dosto ke sath share karna na bhule.
Aise hi Gyan badhe bate,Sports,movie related aur Duniya bhar ki khabar pane ke liye AsianHindi.com facebook page like aur follow krna na bhule. Agar aapko yah article achha laga ho to apne dosto ke sath share zroor kare. Post read karne ke liye Bahut bahut Dhanyawaad
Aise hi Gyan badhe bate,Sports,movie related aur Duniya bhar ki khabar pane ke liye AsianHindi.com facebook page like aur follow krna na bhule. Agar aapko yah article achha laga ho to apne dosto ke sath share zroor kare. Post read karne ke liye Bahut bahut Dhanyawaad
No comments:
Post a Comment