Faceapp ko kyu istemal nahi karna cahiye ? - Asian Hindi

Breaking

Daily Updates Hindi me! AsianHindi site par Technology, Entertainment, Sports, politics aur bhi duniya bhar ke khabar milenge. Asian Hindi Website par Asian ke har updates hindi me diye jate hai

Post Top Ad

Tuesday, July 23, 2019

Faceapp ko kyu istemal nahi karna cahiye ?

Abhi pure duniya me sabhi ek mobile me faceapp bahut joro shoro se Chalaya ja rha hai.Aaj bahut se log faceapp application ko log bahut hi jyada istemal kar rahe hai.Par halhi ke report me aaya hai ki faceapp application ko istemal karna khatarnak shabit ho sakta hai.Faceapp application ke jariye aapka data churaye jane ki aashnka ki ja rhi hai.

Faceapp application abhi filhal ke sabse kam din me sabse jyada downloading application me se ek mana ja rha hai.yah kuch hi dino me playstore se 100M+ downloading ho gaya hai.ham sabhi jante hai ki Faceapp bas kuch hi dino pahle aaya hai.aur etna jyada popular ho gaya.


Logo ki kehna hai ki ye to tiktok se bhi jyada aur jaldi popular ho gaya .Ye popular bhi kyu na ho.eski aise hi kamal feature ke sath banaya jo gaya hai esko. Logo ko bacha se lekar budha kar diya ja rha hai. Aur vo bhi bina kisi face ko khrab dikhaye.Kyuki esi tarah ke kayi application to hai jo young face ko old face me change kar deta hai lekin uska old face utna suitable change nahi kar pata jo ki aaj ka faceapp kar deta hai.

Esme pata hi nahi chalta hai ki ye aadmi ka face young hai ya old.Lekin ham sabhi jante hai ki jis chiz se hame benefit hota hai usse hame loss bhi hota hai.Thik usi ki tarah faceapp bhi hai.Faceapp se hme profit hai aur news ke dwara bataye gaye eske khrabi se hme esse loss bhi hai.

Chaliye jante hai ki kaise faceapp hamare liye hanikarak hai.

Facepp hamare liye hanikarak kaise hai?

1.App server par aapki photo rakhkar manchaha istemal kar sakta hai.

-Faceapp aapke dwara upload gaye photo ko apne pas rkhta sakta hai.aur unka apne marji se istemal kar sakta hai.aapka photo album bhi sink ho ja sakta hai.Ab updated version faceapp me pahle hi bataya ja rha hai ki vah aapki upload huyi photo ko apne server par rakhega.

2.Aapki Janakari kisi bhi desh ya Company ke sath sajha kar sakta hai.

-Faceapp ki privacy  policy me ulekh hai ki ve apake dwara di gayi jankari
ki kisi bhi desh ke sath sajha kar sakta hai.matlab ki eska kahna hai kj ye aapka photo ko kisi bhi desh ya company ke sath share kar sakte hai.

3.Account Delete kar denge,fir bhi jankari apne pas rakh sakta hai.


-Faceapp ki service ki sharto ke mutabik aap unhe unki tasviro ka worldwide license muft me de rahe hai.agar puri faceapp ya eska ek hissa bech diya jata hai.to aapki jankariya aapke kharidar ke pas asani se ja sakta hai.Aur vo log aapki photo ka istemal galat tarike se bhi kar sakte hai.Us app par agar aap apna account delet bhi kar dete hai to us par se aapka jankari nahi hategi.Kyuki aapka fully details unke server par pahle hi upload ho chuka hoga.Aur agar aap apna account delet karenge to sirf aaplication se hi aapka profile hat jayega lekin unke server se nahi.

To mujhe ummid hai ab bhi aap istemal kar arhe faceapp ka hani jan gaye honge.aur ab se usko istemal na karne ka faisla kar liye honge.ye bat aur logo ko batane ke liye ye article ko social media par share zroor kare.

Aise hi Gyan badhe bate,Sports,movie related aur Duniya bhar ki khabar pane ke liye AsianHindi.com facebook page like aur follow krna na bhule. Agar aapko yah article achha laga ho to apne dosto ke sath share zroor kare. Post read karne ke liye Bahut bahut Dhanyawaad

No comments:

Post a Comment