Hum sabhi jante hai ki Superstar Akshay kumar ko ek bar pahle bhi National film purushkar se nawaja ja chuka hai.Lekin es sal bhi Unko Rakshtiye film purushkar se fir se unhe sammanit kiya gaya.Es film fair awar ke chairman Jyuri ne 435 filmo se ek Akshay kumar ki film ko apne National Film award ke liye choose kiya gaya tha.Jo ki kal hi pata chala hai.
Jaha bare bare star actors ko Jaldi National film purushkar nahi milta aur vahi Akshay kumar ko do do National award se nawaja ja chuka hai.Ye Akshay kumar ke prrsonality ko aur bhi nikhar raha hai.Aur unki Acting ko Audience ne aur bhi jyada pasand karna start kar diye hai.
Es bar unko yah National Film Purushkar Unki film 'Padman' ki vajah se mila hai.Halanki Padman boxoffice par kuch khas dhmal nahi machayi lekin audience ko us film ki story kmal ki lagi.
Yah film ki kahani Arunachalam Murungnantam ke dwara likhi gayi thi.Arunachalam bahut hi bare story writer hai film ke.Aur Unki film ki kahani se fir se Akshay kumar ko ek National film purushkar dilvaya.Akshay kumar ko yah award us film ki kahani ke liye mila.jo ki akshay kumar ne us kahani me mukhay bhumika nibhaye the.
Akshay kumar & Sonam kapoor Twitted:-
Es Award winning par Akshay kumar ne Twit karke kaha
"Yes and the next call was to me, half anxious...half excited to confirm if we’d actually won the #NationalAward for Best Film On A Social Cause for #PadMan."
"Yes and the next call was to me, half anxious...half excited to confirm if we’d actually won the #NationalAward for Best Film On A Social Cause for #PadMan."
Es film ko Award milne ki suchna pakar kapoor bhi kafi khus huyi thi.kyuki ve bhi es film ke mukhay kirdar ka role nibha rahe the.jo ki Akshay kumar ke bahan ke roop me tha.Unhone bhi Twit karke khus jatayi hai.Jo ki aap unke twitter account par jakar dekh sakte hai.
Mission mangal ke release se pahle Akshay kumar ko bahut khushi mili hai. Unke film padman ko best film on social issue ke liye Rakshtiye film puraskar ke liye chuna gaya hai. Akshay ko jab iska pata chala to pahle unhe yaqeen nahi hua.
2018 me release huye padman ke social drama hai, jise Aar Balki ne nirdeshit kiya tha, jabki es film se Twinkle khanna ne bataur producer debue kiya. Twinkle ne twit karke bataya ki jab Rakshtiye purushkar ka elan huya to wo raste me thi. Unhe ek twit se pata chala ki padman ko Rakshtiye purashkar mila hai. Pahale to yaqin nahi hua, magar fir pata chala ki vakayi me padman ko award Mila hai.
Kuchh aisa hi Akshay ke sath bhi hua. Akshay ne twinkle ke twit ko retwit karke bataya- han, aur agle kal mere pas aaye. Yah pushti karne ke liye utsahit tha ki kya ham vakayi padman ke liye best film on social issue ka award jeet chuke hai. Mai bas yeh kah sakta hu- "Sari duniya se kaho, Copy That".
Film Padman darshako ke sath sath criticks ko bhi pasand aaye. Akshay kumar ko esse pahle Film Rustam ke liye best Actor category ke liye National film award mil chuka hai. Akshay ke ab mission mangal 15 agast par release hogi. Film me vo ek Space scientist ke kirdar me dikhenge.Eske kahani bharat ke pahle mangalyaan ko space mein bhejne ke taiyariyon aur sangharsh par aadharit hai. Vidya baalan, Sonakshi sinha, Taapsee pannu, kirti kulhare aur Nitya menan mukhy kiradaro me hai.
Conclusion Of This Post
To mujhe ummid hai Akshay kumar ko fir se National film Award milne ki news sunkar aapko bhi khoob khusi huyi hogi.aur agar aapko yah article achha laga ho aur agar aap akshay kumar ke sachhe wale fans hai to apne agle fans tak es article ko share ki madad se zaroor pahunchaye.
To mujhe ummid hai Akshay kumar ko fir se National film Award milne ki news sunkar aapko bhi khoob khusi huyi hogi.aur agar aapko yah article achha laga ho aur agar aap akshay kumar ke sachhe wale fans hai to apne agle fans tak es article ko share ki madad se zaroor pahunchaye.
No comments:
Post a Comment