Flagship phone : OnePlus 7 Price,Specifications,launch date in India - Asian Hindi

Breaking

Daily Updates Hindi me! AsianHindi site par Technology, Entertainment, Sports, politics aur bhi duniya bhar ke khabar milenge. Asian Hindi Website par Asian ke har updates hindi me diye jate hai

Post Top Ad

Friday, June 14, 2019

Flagship phone : OnePlus 7 Price,Specifications,launch date in India

Hi doston One Plus 7 launch ho chuka hai to aayiye jaante hai One plus 7 ke Full specifications ke sath One plus 7 ke key specificatoins. Agar aap bhi one plus brand ke Lover hai to Ye post apke liye kaafi zada helpful hai kyunki  One plus ne 1 June ko hi apna new Model one plus 7 ke naam se launch kiyaa hai. 

Bataya jaa rhaa hai ke isme camera quality, Display Quality aur performance bahut hi zada achha hai to chaliye jaante hai details me.



Display Quality of One plus 7
One plus 7 is mobile me 6.41  inches ki display dekhne ko mil jaati hai jo ke Optic AMOLED display hai.  Iska screen resolution 1080×2380 pixels hai aur screen density 402 ppi hai. One Plus 7 ka weight 182 grams ka hai aur ye Red aur Mirror Grey in 2 colour me available hai.

Camera Quality of One plus 7
One plus 7 ka main camera 48MP + 5MP ka Dual Primary camera with LED flash ke sath aata hai.  Aur Front camera 16MP ka hai with LED flash. Back yane main camera me Continuos Shooting, High Dynamic Range mode (HDR) Shooting modes availabe hai.

Performance of One plus 7
One Plus 7 is mobile me  Qualcomm Snapdragon 855  chipset aur Processor Octa core (2.84 GHz, Single core, Kryo 485 + 2.42 GHz, Tri core, Kryo 485 + 1.8 GHz, Quad core, Kryo 485)  shamil hai. 

Storage Capacity of One plus 7
One Plus 7 is mobile me 128GB /256GB ki internal strorage hai jisko expand nhi kiyaa jaa sakta. Aur RAM ki baat ki jaaye to isme hume 6GB /8GB RAM dekhne ko mil jaati hai. Ye mobile USB OTG support karta hai.



Battery Life of One plus 7
One plus 7 ki battery capacity 3700 mAh ki hai jo ke quick charge Dash support karti hai. Iski Battery ka Type Li-ion hai.

Special Features Of One plus 7
Is mobile me Finger sensor available hai jo on screen sensor hai. Is mobile me aur bhi sensors available hai jaise ke Light sensor, Proximity sensor, Accelerometer, Compass, Gyroscope.

Price of One plus 7
One plus 7 ke 2 variants hai jisme 6GB /128GB ki price 32,999 hai aur 8GB/ 256GB ki price 37,999 hai.

To doston ye the One plus 7 se jude important features & key specifications. Aasha krti hun apko aaj ki post zaroor pasand aayi hogi.

Aise hi Tech news aur gadgets related notifications ko paane ke liye asianhindi.com ko follow krna na bhule aur hunaare FB page ko bhi like zaroor kare.

Apke man me koi sawal ho to usko comment me zaroor likhe. Post read krne ke kiye bahut bahut dhanyawad.

No comments:

Post a Comment